Monday, October 4, 2010

Urdu Ghazal

aate jate mujhe ilzaam to dete jao
aate jate mujhe ilzaam to dete jao

Damm nikal jaye jo uth ker shab-e-tunhaai me
Mujh ko wapis dil-e-nakaam to dete jao

Me kisi or ka ahsan naheen le sakti
Meri qismat mera anjaam to dete jao

Phool mehkaon -k- daaman me sajaon kante
Mere hisse ka mujhe kaam to dete jao

Urdu Ghazal

Urdu Ghazal

Aman vale samhal kar rakhna
Kuchh ujale samhaal kar rakhna

Jane kab desh ko zarorat ho
Kuchh jiyale samhaal kr rakhna

Sach ki tazeem b zarori hai
Munh ke chhale samhaal kar rakhna

Bhookh ka imtehaan hona hai
Kuchh niwale samhaal kr rakhna

Baagh valon se jab b ghabraao
Dasht vale samhaal kr rakhna

Josh ke daur me yahaan “SAJID”
Hosh vale samhaal kr rakhna

Urdu Ghazal

Urdu Ghazal

Ham b kisi k pyaar me jiya karte the

Ham bhi kisi k pyar me jiya karte the ||
Dard-e-dil,dil me liye phira karte the.

jb koi puchta tha hamari bebasi ka sabab ||
ham apne mahbub ka pata deya karte the.[b][i]

log kahte the pagal hain ham unke pichy ||
jb khayalo me unko pukara karte the.

ham bhi kisi ko pane ki tamanna rakhte the ||
jab vo hamne apna hamsafar samja karte the.


Urdu Ghazal